From the movie Nazraana the song Bikhara Ke Zulfein Chaman Mein Na Jaana is sung by Lata Mangeshkar, Mukesh. Enjoy the Hindi lyrics of Bikhara Ke Zulfein Chaman Mein Na Jaana while listening to the song on your favorite YouTube video below.
Bikhara Ke Zulfein Chaman Mein Na Jaana
Kyon?
Is Liye
Ki Sharma Na Jaayein Phulon Ke Saaye
Muhabbat Ke Nagame Tum Bhi Na Gaana
Kyon?
Is Liye
Ki Bhanvara Tumhaari Hansi Na Udaaye
Muhabbat Ke Bhanvare Ki Pahachaan Kyaa?
Ye Kaliyon Se Puchho Hamein Kya Pata
Harjaayi Hoga
Ham To Nahin Hain
Kahin Sikh Lena Na Tum Ye Ada
Zubaan Par Kabhi Baat Aisi Na Laana
Kyon?
Is Liye
Ki Duniyaan Se Rasm E Vafa Mit Na Jaaye
Kaho Saath Doge Kahaan Tak Mera
Vahaan Tak Jahaan Aasamaan Jhuk Raha
Bolo Chalogi?
Jo Tum Le Chaloge
Kahin Raah Mein Ho Na Jaana Juda
Mera Pyaar Dekhega Saara Zamaana
Kyon?
Is Liye
Ki Vaade Kiye Aur Kar Ke Nibhaaye