Logo

Our Latest Additions

Hindi Lyrics Of Gale Mein Laal Taai

From the movie Hum Tumhare Hain Sanam the song Gale Mein Laal Taai is sung by Bela Sulakhe And Kumar Sanu. Enjoy the Hindi lyrics of Gale Mein Laal Taai while listening to the song on your favorite YouTube video below.

Chorus
(Saiyyaan Re Saiyyaan, O More Saiyyaan
Aake Gale Lag Jaa) 3

Female
Gale Mein Laal Taai, Ghar Mein Ek Chaar Paai
Takiya Ek Aur Hum Do Ek Hi Hai Razaai
Sardi Kaise Jaayegi, Kaho Kaise Hamein Neend Aayegi 2

Male
Gale Mein Laal Taai, Ghar Mein Ek Chaar Paai
Takiye Ki Fikar Na Kar, Banoonga Main Khud Razaai
Gale Se Laga Loonga, Honton Se Coffee Pila Doonga
Arre Gale Se Laga Loonga, Honton Se Coffee Pila Doonga
Saari Duniya Chain Se Soye, Hum Dono Baaton Mein Khoye

Female
Tumse Main Darrti Hoon, Koi Harkat Na Karo
Ek Hai Shart Meri, Tum Sharaarat Na Karo

Male
Haai Yeh Pasina Kyoon Aa Gaya Hai Hamdam
Na To Kuch Socho Tum, Na To Kuch Soche Hum

Female
Lage Chaar Paai Mein Kahin Ek Khatmal Hai
Tang Mujhe Karta Hai Tan Mein Halbal Hai

Male
Dushman Khatmal Ko Tujhse Mohabbat Hai
Jahan Chaahe Ghoomega, Haai Kya Kismat Hai
Abhi Usse Dhoondkar Main Tagdi Saza Doonga 2

Female
Gale Mein Laal Taai, Ghar Mein Ek Chaar Paai
Takiya Ek Aur Hum Do Ek Hi Hai Razaai
Sardi Kaise Jaayegi, Kaho Kaise Hamein Neend Aayegi

Male
Arre Gale Se Laga Loonga, Honton Se Coffee Pila Doonga Haan
Khidki Ke Main Parde Gira Doon
Tum Keh Do To Batti Bujha Doon

Female
Arre Baba Na Re Na, Batti Na Bujha Dena
Waqt Ka Pata Nahin, Kuch Na Ho Jaaye Kahin

Male
Gaata Hoon Sar Ki Kasam, Zyaada Na Chhedoonga
Is Sharaafat Ke Liye Ek Chooma Loonga

Female
Haai Kismat Phooti, Kisko Yaar Kiya
Aise Besabre Se Maine Kyoon Pyaar Kiya

Male
Ab To Majboori Hai, Yeh Ghadi Aayi Hai
Saath Sona Hi Pade, Ek Chaar Paai Hai
Tere Bharose Ko Kabhi Na Daga Doonga, Samjhi
Tere Bharose Ko Kabhi Na Daga Doonga

Female
Gale Mein Laal Taai, Ghar Mein Ek Chaar Paai
Takiya Ek Aur Hum Do Ek Hi Hai Razaai
Sardi Kaise Jaayegi, Kaho Kaise Hamein Neend Aayegi

Male
Haan Gale Se Laga Loonga, Honton Se Coffee Pila Doonga Haan

Enjoy A YouTube Video With The Hindi Lyrics

Discuss The Hindi Lyrics Of Gale Mein Laal Taai

Get Your Free Hindi Lyrics Update