From the movie Sajda the song Gham Ka Khazana is sung by Lata Mangeshkar, Jagjit Singh. Enjoy the Hindi lyrics of Gham Ka Khazana while listening to the song on your favorite YouTube video below.
Jagjit:
Gham Ka Khazana Tera Bhi Hai Mera Bhi (2)
Both:
Yeh Nazarana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Lata:
Apne Gham Ka Geet Bana Kar Gaa Lena (2)
Raag Puraana Tera Bhi Hai Mera Bhi (2)
Gham Ka Khazana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Jagjit:
Tu Mujhko Aur Main Tujhko Samjhaaoon Kya
Lata:
Tu Mujhko Aur Main Tujhko Samjhaaoon Kya
Jagjit:
Dil Deewana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Lata:
Dil Deewana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Both:
Gham Ka Khazana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Lata:
Shahar Mein Galiyon Galiyon Jiska Charcha Hai (2)
Woh Afsaana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Jagjit:
Maikhane Ki Baat Na Kar Waiz Mujhse (2)
Aana Jaana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Gham Ka Khazana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Lata:
Yeh Nazarana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Both:
Gham Ka Khazana Tera Bhi Hai Mera Bhi