Logo

Our Latest Additions

Hindi Lyrics Of Pyaar Ki Yeh Kahaani Suno

From the movie Honeymoon Travels Pvt. Ltd. the song Pyaar Ki Yeh Kahaani Suno is sung by Sunidhi Chauhan, Gayatri Iyer. Enjoy the Hindi lyrics of Pyaar Ki Yeh Kahaani Suno while listening to the song on your favorite YouTube video below.

(Pyaar Ki Yeh Kahaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Hoti Kya Hai Jawaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Woh Bhi Ek Daur Tha
Waqt Hi Aur Tha
Jab Woh The Ajnabi
Dono Tanaha Se The
Par Woh Kehte Kise
Baat Jo Dil Mein Thi) 2
Pyaar Ki Yeh Kahaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Hoti Kya Hai Jawaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi

Gumsum Gumsum Rehte The Dono
Phir Bhi Dil Mein Kehte The Dono
Koyi Sapana Hum Bhi To Paayein
Ek Din Tute Ghum Ke Woh Ghere
Jhilmil Jhilmil Aaye Savere
Mausam Badala Jaagi Fizaayein
Woh Mil Gaye, Woh Khil Gaye
Aur Pyaar Ho Hi Gaya
Jo Maanga Tha, Woh Paaya To
Hosh Kho Hi Gaya
Pyaar Ki Yeh Kahaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Hoti Kya Hai Jawaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi

Haule Haule Abb Woh Deewaane
Gun Gun Gaaye Dil Ke Taraane
Sun Sun Jhumein Saari Hawaanyein
Dhadkan Dhadkan Hai Behaki Behaki
Mann Mann, Mann Mann, Chaahat Hai Mehaki
Sapane Apane Jaadu Jagaayein
Phir Dekhoge, Toh Jaanoge
Kya Hai Nasha Pyaar Ka
Yahi Sochoge, Yahi Chaahoge
Sun Rahi Ye Sada
Pyaar Ki Yeh Kahaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Hoti Kya Hai Jawaani Suno
Ek Ladka Tha, Ek Ladki Thi
Woh Bhi Ek Daur Tha
Waqt Hi Aur Tha
Jab Woh The Ajnabi
Dono Tanaha Se The
Par Woh Kehte Kise
Baat Jo Dil Mein Thi

Enjoy A YouTube Video With The Hindi Lyrics

Discuss The Hindi Lyrics Of Pyaar Ki Yeh Kahaani Suno

Get Your Free Hindi Lyrics Update